
Mere dil ke her ek dhadkan pe likha Aap ka naam,
Mere ankhon mein hai jitna bhi nasha aap key naam,
Barey pyar se chahat ka mein ne Sapna jo buna wo kiya Aap key naam,
Jism se rooh ka rishta hay Jo rishta hay mera Aap kay naam
Mein ne khud se hee kiya hud ko juda Aap kay naam
Mere armaan mere jaan fida Aap kay naam,
Mere har saans se nikley jo dua Aap key naam,
Mera aghaz bhi anjaam kiya Aap kay naam,
Mere jazbon ke haquekat ko samajh jata tu kaash,
Bujh gaya dil ka diya Qatal mera Aap key naam
__________________________________
PoEt
Ambar Hasan








