Monday

Kab Talak...................



Kab talak dekhegi sapne yah meri andhi nazar.....
Khoj kar lao kahi se roshni ki rahghuzar....


Aandhi udha kar le gayi patta gira jo chitak kar....
Ped ko hairat hui uski yeh kismat dekh kar.....


Humne sim-sim keh diya khul to gaya tha dhaarr magar...
Saanp baite hain kazane par na thi humko khabar....

Akele hi tay ki maine zindagi ki rahghuzar...
Kaarwaan se alag hi chalta raha mera safar....

Baddua...jisko mili hain zamane se umr bhar...
Dua ko uski bhala hoga kisi par kya asar....


Rokne ki andhero ne ki bahut koshish magar.,...
Raat ki chilman hatha kar nikal aayi hain sahar....
Poet
Stranger.....