Thursday

Priyavar Aapse Door



Priyavar aapse door
Mai chali to aayi
Par man to ja kar
Aapki saanso me basa hai
Ritu hai nirali
Chhayi haryali
Par man to ja kar
Aapke hoto me racha hai
Meri to raat kat gayi
Aankho hi aankho me
Par man to ja kar
Aapki aankho me saja hai
Jara nazar jhuka kar dekho
Mere Priyavar
Mera man to ja kar
Aapki hatheli me chipa hai.
Poet
Sangeeta

No comments: